Kash! Wo Zinda Hote

Kash ! 

Ye jaha sara kitna suhana sa tha,

Mousam bhi wo zra Anjana sa tha.

Girti thi ped ki shakh se jo pattiya,

Patjhad me bhi kople foot ana tha.

Naa yu patte shakh se juda hote,

Kash ! Ki wo aaj bhi zinda hote ….!

            “””””””””””””””””””

Kami koi hume aaj bhi nhi h,

Dost sath h kali raat bhi nhi h.

Bus dard kuch yun samajh lijiye,

Raaz h par humraz sath nhi hai.

Bewajah ashaq yu na nikle hote,

Kash ! Ki wo aaj bhi zinda hote….!

                “”””””””””””””””””””

Ek waqt wo bhi tha hume chot lgi,

Or wo poori raat na soye the.

Chot choti thi,hum hans rhe the,

Or wo poori raat beth k roye the.

Aaj sara dil h Ghayal wo firse rote,

Kash ! Ki wo aaj bhi zinda hote….!

               “””””””””””””””””””””

Aisa bhi nhi ki wo shaks mar gya h,

Shayd zameer uska zinda nhi rha h.

Jb mera tha sharm thi aankho me,

Ab zra jyada hi besharm ho gya h.

Kiye pe apne thoda sharminda hote,

Kash ! Ki wo aaj bhi zinda hote….!

Leave a comment

Create a free website or blog at WordPress.com.

Up ↑